12
Allāh Yarūshalam kī Hifāzat Karegā
Zail meṅ Rab kā Isrāīl ke lie kalām hai. Rab jis ne āsmān ko ḳhaime kī tarah tān kar zamīn kī buniyādeṅ rakhīṅ aur insān ke andar us kī rūh ko tashkīl diyā wuh farmātā hai,
“Maiṅ Yarūshalam ko gird-o-nawāh kī qaumoṅ ke lie sharāb kā pyālā banā dūṅgā jise wuh pī kar laṛkhaṛāne lageṅgī. Yahūdāh bhī musībat meṅ āegā jab Yarūshalam kā muhāsarā kiyā jāegā. Us din duniyā kī tamām aqwām Yarūshalam ke ḳhilāf jamā ho jāeṅgī. Tab maiṅ Yarūshalam ko ek aisā patthar banāūṅgā jo koī nahīṅ uṭhā sakegā. Jo bhī use uṭhā kar le jānā chāhe wuh zaḳhmī ho jāegā.” Rab farmātā hai, “Us din maiṅ tamām ghoṛoṅ meṅ abtarī aur un ke sawāroṅ meṅ dīwānagī paidā karūṅga. Maiṅ dīgar aqwām ke tamām ghoṛoṅ ko andhā kar dūṅgā.
Sāth sāth maiṅ khulī āṅkhoṅ se Yahūdāh ke gharāne kī dekh-bhāl karūṅga. Tab Yahūdāh ke ḳhāndān dil meṅ kaheṅge, ‘Yarūshalam ke bāshinde is lie hamāre lie quwwat kā bāis haiṅ ki Rabbul-afwāj un kā Ḳhudā hai.’ Us din maiṅ Yahūdāh ke ḳhāndānoṅ ko jalte hue koele banā dūṅgā jo dushman kī sūkhī lakaṛī ko jalā deṅge. Wuh bhaṛaktī huī mashāl hoṅge jo dushman kī pūloṅ ko bhasm karegī. Un ke dāīṅ aur bāīṅ taraf jitnī bhī qaumeṅ gird-o-nawāh meṅ rahtī haiṅ wuh sab nazar-e-ātish ho jāeṅgī. Lekin Yarūshalam apnī hī jagah mahfūz rahegā.
Pahle Rab Yahūdāh ke gharoṅ ko bachāegā tāki Dāūd ke gharāne aur Yarūshalam ke bāshindoṅ kī shān-o-shaukat Yahūdāh se baṛī na ho. Lekin Rab Yarūshalam ke bāshindoṅ ko bhī panāh degā. Tab un meṅ se kamzor ādmī Dāūd jaisā sūrmā hogā jabki Dāūd kā gharānā Ḳhudā kī mānind, un ke āge chalne wāle Rab ke farishte kī mānind hogā. Us din maiṅ Yarūshalam par hamlā-āwar tamām aqwām ko tabāh karne ke lie niklūṅgā.
Yarūshalam kā Mātam
10 Maiṅ Dāūd ke gharāne aur Yarūshalam ke bāshindoṅ par mehrbānī aur iltamās kā Rūh unḍelūṅgā. Tab wuh mujh par nazar ḍāleṅge jise unhoṅ ne chhedā hai, aur wuh us ke lie aisā mātam kareṅge jaise apne iklaute beṭe ke lie, us ke lie aisā shadīd ġham khāeṅge jis tarah apne pahlauṭhe ke lie. 11 Us din log Yarūshalam meṅ shiddat se mātam kareṅge. Aisā mātam hogā jaisā Maidān-e-Majiddo meṅ Hadad-rimmon par kiyā jātā thā. 12-14 Pūre kā pūrā mulk wāwailā karegā. Tamām ḳhāndān ek dūsre se alag aur tamām aurateṅ dūsroṅ se alag āh-o-bukā kareṅgī. Dāūd kā ḳhāndān, Nātan kā ḳhāndān, Lāwī kā ḳhāndān, Simaī kā ḳhāndān aur mulk ke bāqī tamām ḳhāndān alag alag mātam kareṅge.