4
1 Yoṅ Samuel kā kalām Sailā se nikal kar pūre Isrāīl meṅ phail gayā.
Filistī Ahd kā Sandūq Chhīn Lete Haiṅ
Ek din Isrāīl kī Filistiyoṅ ke sāth jang chhiṛ gaī. Isrāīliyoṅ ne laṛne ke lie nikal kar Aban-azar ke pās apnī lashkargāh lagāī jabki Filistiyoṅ ne Afīq ke pās apne ḍere ḍāle.
2 Pahle Filistiyoṅ ne Isrāīliyoṅ par hamlā kiyā. Laṛte laṛte unhoṅ ne Isrāīl ko shikast dī. Taqrīban 4,000 Isrāīlī maidān-e-jang meṅ halāk hue.
3 Fauj lashkargāh meṅ wāpas āī to Isrāīl ke buzurg sochne lage, “Rab ne Filistiyoṅ ko ham par kyoṅ fatah pāne dī? Āo, ham Rab ke ahd kā sandūq Sailā se le āeṅ tāki wuh hamāre sāth chal kar hameṅ dushman se bachāe.”
4 Chunāṅche ahd kā sandūq jis ke ūpar Rabbul-afwāj karūbī farishtoṅ ke darmiyān taḳhtnashīn hai Sailā se lāyā gayā. Elī ke do beṭe Hufnī aur Fīnhās bhī sāth āe.
5 Jab ahd kā sandūq lashkargāh meṅ pahuṅchā to Isrāīlī nihāyat ḳhush ho kar buland āwāz se nāre lagāne lage. Itnā shor mach gayā ki zamīn hil gaī.
6 Yih sun kar Filistī chaunk uṭhe aur ek dūsre se pūchhne lage, “Yih kaisā shor hai jo Isrāīlī lashkargāh meṅ ho rahā hai?” Jab patā chalā ki Rab ke ahd kā sandūq Isrāīlī lashkargāh meṅ ā gayā hai
7 to wuh ghabrā kar chillāe, “Un kā dewatā un kī lashkargāh meṅ ā gayā hai. Hāy, hamārā satyānās ho gayā hai! Pahle to aisā kabhī nahīṅ huā hai.
8 Ham par afsos! Kaun hameṅ in tāqatwar dewatāoṅ se bachāegā? Kyoṅki inhīṅ ne registān meṅ Misriyoṅ ko har qism kī balā se mār kar halāk kar diyā thā.
9 Bhāiyo, ab diler ho aur mardānagī dikhāo, warnā ham usī tarah Ibrāniyoṅ ke ġhulām ban jāeṅge jaise wuh ab tak hamāre ġhulām the. Mardānagī dikhā kar laṛo!”
10 Āpas meṅ aisī bāteṅ karte karte Filistī laṛne ke lie nikle aur Isrāīl ko shikast dī. Har taraf qatl-e-ām nazar āyā, aur 30,000 piyāde Isrāīlī kām āe. Bāqī sab farār ho kar apne apne gharoṅ meṅ chhup gae.
11 Elī ke do beṭe Hufnī aur Fīnhās bhī usī din halāk hue, aur Allāh ke ahd kā sandūq Filistiyoṅ ke qabze meṅ ā gayā.
Elī kī Maut
12 Usī din Binyamīn ke qabīle kā ek ādmī maidān-e-jang se bhāg kar Sailā pahuṅch gayā. Us ke kapṛe phaṭe hue the aur sar par ḳhāk thī.
13-15 Elī saṛak ke kināre apnī kursī par baiṭhā thā. Wuh ab andhā ho chukā thā, kyoṅki us kī umr 98 sāl thī. Wuh baṛī bechainī se rāste par dhyān de rahā thā tāki jang kī koī tāzā ḳhabar mil jāe, kyoṅki use is bāt kī baṛī fikr thī ki Allāh kā sandūq lashkargāh meṅ hai.
Jab wuh ādmī shahr meṅ dāḳhil huā aur logoṅ ko sārā mājarā sunāyā to pūrā shahr chillāne lagā. Jab Elī ne shor sunā to us ne pūchhā, “Yih kyā shor hai?” Binyamīnī dauṛ kar Elī ke pās āyā aur bolā,
16 “Maiṅ maidān-e-jang se āyā hūṅ. Āj hī maiṅ wahāṅ se farār huā.” Elī ne pūchhā, “Beṭā, kyā huā?”
17 Qāsid ne jawāb diyā, “Isrāīlī Filistiyoṅ ke sāmne farār hue. Fauj ko har taraf shikast mānanī paṛī, aur āp ke donoṅ beṭe Hufnī aur Fīnhās bhī māre gae haiṅ. Afsos, Allāh kā sandūq bhī dushman ke qabze meṅ ā gayā hai.”
18 Ahd ke sandūq kā zikr sunte hī Elī apnī kursī par se pīchhe kī taraf gir gayā. Chūṅki wuh būṛhā aur bhārī-bharkam thā is lie us kī gardan ṭūṭ gaī aur wuh wahīṅ maqdis ke darwāze ke pās hī mar gayā. Wuh 40 sāl Isrāīl kā qāzī rahā thā.
Fīnhās kī Bewā kī Maut
19 Us waqt Elī kī bahū yānī Fīnhās kī bīwī kā pāṅw bhārī thā aur bachchā paidā hone wālā thā. Jab us ne sunā ki Allāh kā sandūq dushman ke hāth meṅ ā gayā hai aur ki susar aur shauhar donoṅ mar gae haiṅ to use itnā saḳht sadmā pahuṅchā ki wuh shadīd dard-e-zah meṅ mubtalā ho gaī. Wuh jhuk gaī, aur bachchā paidā huā.
20 Us kī jān nikalne lagī to dāiyoṅ ne us kī hauslā-afzāī karke kahā, “Ḍaro mat! Tumhāre beṭā paidā huā hai.” Lekin māṅ ne na jawāb diyā, na bāt par dhyān diyā.
21-22 Kyoṅki wuh Allāh ke sandūq ke chhin jāne aur susar aur shauhar kī maut ke bāis nihāyat bedil ho gaī thī. Us ne kahā, “Beṭe kā nām Yakabod yānī ‘Jalāl Kahāṅ Rahā’ hai, kyoṅki Allāh ke sandūq ke chhin jāne se Allāh kā jalāl Isrāīl se jātā rahā hai.”