3
Sardīs ke lie Paiġhām
1 Sardīs meṅ maujūd jamāt ke farishte ko yih likh denā:
Yih us kā farmān hai jo Allāh kī sāt rūhoṅ aur sāt sitāroṅ ko apne hāth meṅ thāme rakhtā hai. Maiṅ tere kāmoṅ ko jāntā hūṅ. Tū zindā to kahlātā hai lekin hai murdā.
2 Jāg uṭh. Jo bāqī rah gayā hai aur marne wālā hai use mazbūt kar. Kyoṅki maiṅ ne tere kām apne Ḳhudā kī nazar meṅ mukammal nahīṅ pāe.
3 Chunāṅche jo kuchh tujhe milā hai aur jo tū ne sunā hai use yād rakhnā. Use mahfūz rakh aur taubā kar. Agar tū bedār na ho to maiṅ chor kī tarah āūṅgā aur tujhe mālūm nahīṅ hogā ki maiṅ kab tujh par ān paṛūṅgā.
4 Lekin Sardīs meṅ tere kuchh aise log haiṅ jinhoṅ ne apne libās ālūdā nahīṅ kie. Wuh safed kapṛe pahne hue mere sāth chaleṅ-phireṅge, kyoṅki wuh is ke lāyq haiṅ.
5 Jo ġhālib āegā wuh bhī un kī tarah safed kapṛe pahne hue phiregā. Maiṅ us kā nām kitāb-e-hayāt se nahīṅ miṭāūṅgā balki apne Bāp aur us ke farishtoṅ ke sāmne iqrār karūṅga ki yih merā hai.
6 Jo sun saktā hai wuh sun le ki Rūhul-quds jamātoṅ ko kyā kuchh batā rahā hai.
Filadilfiyā ke lie Paiġhām
7 Filadilfiyā meṅ maujūd jamāt ke farishte ko yih likh denā:
Yih us kā farmān hai jo quddūs aur sachchā hai, jis ke hāth meṅ Dāūd kī chābī hai. Jo kuchh wuh kholtā hai use koī band nahīṅ kar saktā, aur jo kuchh wuh band kar detā hai use koī khol nahīṅ saktā.
8 Maiṅ tere kāmoṅ ko jāntā hūṅ. Dekh, maiṅ ne tere sāmne ek aisā darwāzā khol rakhā hai jise koī band nahīṅ kar saktā. Mujhe mālūm hai ki terī tāqat kam hai. Lekin tū ne mere kalām ko mahfūz rakhā hai aur mere nām kā inkār nahīṅ kiyā.
9 Dekh, jahāṅ tak un kā tālluq hai jo Iblīs kī jamāt se haiṅ, wuh jo Yahūdī hone kā dāwā karte haiṅ hālāṅki wuh jhūṭ bolte haiṅ, maiṅ unheṅ tere pās āne dūṅgā, unheṅ tere pāṅwoṅ meṅ jhuk kar yih taslīm karne par majbūr karūṅga ki maiṅ ne tujhe pyār kiyā hai.
10 Tū ne merā sābitqadam rahne kā hukm pūrā kiyā, is lie maiṅ tujhe āzmāish kī us ghaṛī se bachāe rakhūṅgā jo pūrī duniyā par ā kar us meṅ basne wāloṅ ko āzmāegī.
11 Maiṅ jald ā rahā hūṅ. Jo kuchh tere pās hai use mazbūtī se thāme rakhnā tāki koī tujh se terā tāj chhīn na le.
12 Jo ġhālib āegā use maiṅ apne Ḳhudā ke ghar meṅ satūn banāūṅgā, aisā satūn jo use kabhī nahīṅ chhoṛegā. Maiṅ us par apne Ḳhudā kā nām aur apne Ḳhudā ke shahr kā nām likh dūṅgā, us nae Yarūshalam kā nām jo mere Ḳhudā ke hāṅ se utarne wālā hai. Hāṅ, maiṅ us par apnā nayā nām bhī likh dūṅgā.
13 Jo sun saktā hai wuh sun le ki Rūhul-quds jamātoṅ ko kyā kuchh batā rahā hai.
Laudīkiyā ke lie Paiġhām
14 Laudīkiyā meṅ maujūd jamāt ke farishte ko yih likh denā:
Yih us kā farmān hai jo Āmīn hai, wuh jo wafādār aur sachchā gawāh aur Allāh kī kāynāt kā mambā hai.
15 Maiṅ tere kāmoṅ ko jāntā hūṅ. Tū na to sard hai, na garm. Kāsh tū in meṅ se ek hotā!
16 Lekin chūṅki tū nīmgarm hai, na garm, na sard, is lie maiṅ tujhe qai karke apne muṅh se nikāl phaiṅkūṅgā.
17 Tū kahtā hai, “Maiṅ amīr hūṅ, maiṅ ne bahut daulat hāsil kar lī hai aur mujhe kisī bhī chīz kī zarūrat nahīṅ.” Aur tū nahīṅ jāntā ki tū asal meṅ badbaḳht, qābil-e-rahm, ġharīb, andhā aur nangā hai.
18 Maiṅ tujhe mashwarā detā hūṅ ki mujh se āg meṅ ḳhālis kiyā gayā sonā ḳharīd le. Tab hī tū daulatmand banegā. Aur mujh se safed libās ḳharīd le jis ko pahnane se tere nangepan kī sharm zāhir nahīṅ hogī. Is ke alāwā mujh se āṅkhoṅ meṅ lagāne ke lie marham ḳharīd le tāki tū dekh sake.
19 Jin ko maiṅ pyār kartā hūṅ un kī maiṅ sazā de kar tarbiyat kartā hūṅ. Ab sanjīdā ho jā aur taubā kar.
20 Dekh, maiṅ darwāze par khaṛā khaṭkhaṭā rahā hūṅ. Agar koī merī āwāz sun kar darwāzā khole to maiṅ andar ā kar us ke sāth khānā khāūṅgā aur wuh mere sāth.
21 Jo ġhālib āe use maiṅ apne sāth apne taḳht par baiṭhne kā haq dūṅgā, bilkul usī tarah jis tarah maiṅ ḳhud bhī ġhālib ā kar apne Bāp ke sāth us ke taḳht par baiṭh gayā.
22 Jo sun saktā hai wuh sun le ki Rūhul-quds jamātoṅ ko kyā kuchh batā rahā hai.”