15
Āḳhirī Balāoṅ ke Farishte
Phir maiṅ ne āsmān par ek aur ilāhī nishān dekhā, jo azīm aur hairatangez thā. Sāt farishte sāt āḳhirī balāeṅ apne pās rakh kar khaṛe the. In se Allāh kā ġhazab takmīl tak pahuṅch gayā.
Maiṅ ne shīshe kā-sā ek samundar bhī dekhā jis meṅ āg milāī gaī thī. Is samundar ke pās wuh khaṛe the jo haiwān, us ke mujassame aur us ke nām ke nambar par ġhālib ā gae the. Wuh Allāh ke die hue sarod pakaṛe Allāh ke ḳhādim Mūsā aur Lele kā gīt gā rahe the,
“Ai Rab Qādir-e-mutlaq Ḳhudā,
tere kām kitne azīm aur hairatangez haiṅ.
Ai zamānoṅ ke Bādshāh,
terī rāheṅ kitnī rāst aur sachchī haiṅ.
Ai Rab, kaun terā ḳhauf nahīṅ mānegā?
Kaun tere nām ko jalāl nahīṅ degā?
Kyoṅki tū hī quddūs hai.
Tamām qaumeṅ ā kar tere huzūr sijdā kareṅgī,
kyoṅki tere rāst kām zāhir ho gae haiṅ.”
Is ke bād maiṅ ne dekhā ki Allāh ke ghar yānī āsmān par ke sharīat ke ḳhaime ko * khol diyā gayā. Allāh ke ghar se wuh sāt farishte nikal āe jin ke pās sāt balāeṅ thīṅ. Un ke katān ke kapṛe sāf-suthrī aur chamak rahe the. Yih kapṛe sīnoṅ par sone ke kamarband se bandhe hue the. Phir chār jāndāroṅ meṅ se ek ne in sāt farishtoṅ ko sone ke sāt pyāle die. Yih pyāle us Ḳhudā ke ġhazab se bhare hue the jo azal se abad tak zindā hai. Us waqt Allāh kā ghar us ke jalāl aur qudrat se paidā hone wāle dhueṅ se bhar gayā. Aur jab tak sāt farishtoṅ kī sāt balāeṅ takmīl tak na pahuṅchīṅ us waqt tak koī bhī Allāh ke ghar meṅ dāḳhil na ho sakā.
* 15:5 Yānī mulāqāt ke ḳhaime ko.