13
Do Haiwān
1 Phir maiṅ ne dekhā ki samundar meṅ se ek haiwān nikal rahā hai. Us ke das sīṅg aur sāt sar the. Har sīṅg par ek tāj aur har sar par kufr kā ek nām thā.
2 Yih haiwān chīte kī mānind thā. Lekin us ke rīchh ke-se pāṅw aur sherbabar kā-sā muṅh thā. Azhdahe ne is haiwān ko apnī quwwat, apnā taḳht aur baṛā iḳhtiyār de diyā.
3 Lagtā thā ki haiwān ke saroṅ meṅ se ek par lā'ilāj zaḳhm lagā hai. Lekin is zaḳhm ko shafā dī gaī. Pūrī duniyā yih dekh kar hairatzadā huī aur haiwān ke pīchhe lag gaī.
4 Logoṅ ne azhdahe ko sijdā kiyā, kyoṅki usī ne haiwān ko iḳhtiyār diyā thā. Aur unhoṅ ne yih kah kar haiwān ko bhī sijdā kiyā, “Kaun is haiwān kī mānind hai? Kaun is se laṛ saktā hai?”
5 Is haiwān ko baṛī baṛī bāteṅ aur kufr bakne kā iḳhtiyār diyā gayā. Aur use yih karne kā iḳhtiyār 42 mahīne ke lie mil gayā.
6 Yoṅ wuh apnā muṅh khol kar Allāh, us ke nām, us kī sukūnatgāh aur āsmān ke bāshindoṅ par kufr bakne lagā.
7 Use muqaddasīn se jang karke un par fatah pāne kā iḳhtiyār bhī diyā gayā. Aur use har qabīle, har ummat, har zabān aur har qaum par iḳhtiyār diyā gayā.
8 Zamīn ke tamām bāshinde is haiwān ko sijdā kareṅge yānī wuh sab jin ke nām duniyā kī ibtidā se Lele kī kitāb-e-hayāt meṅ darj nahīṅ haiṅ, us Lele kī kitāb meṅ jo zabah kiyā gayā hai.
9 Jo sun saktā hai wuh sun le!
10 Agar kisī ko qaidī bananā hai to wuh qaidī hī banegā. Agar kisī ko talwār kī zad meṅ ā kar marnā hai to wuh aise hī maregā. Ab muqaddasīn ko sābitqadmī aur wafādār īmān kī ḳhās zarūrat hai.
11 Phir maiṅ ne ek aur haiwān ko dekhā. Wuh zamīn meṅ se nikal rahā thā. Us ke lele ke-se do sīṅg the, lekin us ke bolne kā andāz azhdahe kā-sā thā.
12 Us ne pahle haiwān kā pūrā iḳhtiyār us kī ḳhātir istemāl karke zamīn aur us ke bāshindoṅ ko pahle haiwān ko sijdā karne par uksāyā, yānī us haiwān ko jis kā lā'ilāj zaḳhm bhar gayā thā.
13 Aur us ne baṛe mojizānā nishān dikhāe, yahāṅ tak ki us ne logoṅ ke deḳhte deḳhte āsmān se zamīn par āg nāzil hone dī.
14 Yoṅ use pahle haiwān kī ḳhātir mojizānā nishān dikhāne kā iḳhtiyār diyā gayā, aur in ke zariye us ne zamīn ke bāshindoṅ ko sahīh rāh se bahkāyā. Us ne unheṅ kahā ki wuh us haiwān kī tāzīm meṅ ek mujassamā banā deṅ jo talwār se zaḳhmī hone ke bāwujūd dubārā zindā huā thā.
15 Phir use pahle haiwān ke mujassame meṅ jān ḍālne kā iḳhtiyār diyā gayā tāki mujassamā bol sake aur unheṅ qatl karwā sake jo use sijdā karne se inkār karte the.
16 Us ne yih bhī karwāyā ki har ek ke dahne hāth yā māthe par ek ḳhās nishān lagāyā jāe, ḳhāh wuh chhoṭā ho yā baṛā, amīr ho yā ġharīb, āzād ho yā ġhulām.
17 Sirf wuh shaḳhs kuchh ḳharīd yā bech saktā thā jis par yih nishān lagā thā. Yih nishān haiwān kā nām yā us ke nām kā nambar thā.
18 Yahāṅ hikmat kī zarūrat hai. Jo samajhdār hai wuh haiwān ke nambar kā hisāb kare, kyoṅki yih ek mard kā nambar hai. Us kā nambar 666 hai.