19
Ammonī Dāūd kī Be'izzatī Karte Haiṅ
1 Kuchh der ke bād Ammoniyoṅ kā bādshāh Nāhas faut huā, aur us kā beṭā taḳhtnashīn huā.
2 Dāūd ne sochā, “Nāhas ne hameshā mujh par mehrbānī kī thī, is lie ab maiṅ bhī us ke beṭe Hanūn par mehrbānī karūṅga.” Us ne bāp kī wafāt kā afsos karne ke lie Hanūn ke pās wafd bhejā.
Lekin jab Dāūd ke safīr Ammoniyoṅ ke darbār meṅ pahuṅch gae tāki Hanūn ke sāmne afsos kā izhār kareṅ
3 to us mulk ke buzurg Hanūn Bādshāh ke kān meṅ manfī bāteṅ bharne lage, “Kyā Dāūd ne in ādmiyoṅ ko wāqaī sirf is lie bhejā hai ki wuh afsos karke āp ke bāp kā ehtirām kareṅ? Hargiz nahīṅ! Yih sirf bahānā hai. Asal meṅ yih jāsūs haiṅ jo hamāre mulk ke bāre meṅ mālūmāt hāsil karnā chāhte haiṅ tāki us par qabzā kar sakeṅ.”
4 Chunāṅche Hanūn ne Dāūd ke ādmiyoṅ ko pakaṛwā kar un kī dāṛhiyāṅ munḍwā dīṅ aur un ke libās ko kamr se le kar pāṅwoṅ tak kāṭ kar utarwāyā. Isī hālat meṅ bādshāh ne unheṅ fāriġh kar diyā.
5 Jab Dāūd ko is kī ḳhabar milī to us ne apne qāsidoṅ ko un se milne ke lie bhejā tāki unheṅ batāeṅ, “Yarīhū meṅ us waqt tak ṭhahre raheṅ jab tak āp kī dāṛhiyāṅ dubārā bahāl na ho jāeṅ.” Kyoṅki wuh apnī dāṛhiyoṅ kī wajah se baṛī sharmindagī mahsūs kar rahe the.
Ammoniyoṅ se Jang
6 Ammoniyoṅ ko ḳhūb mālūm thā ki is harkat se ham Dāūd ke dushman ban gae haiṅ. Is lie Hanūn aur Ammoniyoṅ ne Masoputāmiyā, Arām-mākā aur Zobāh ko chāṅdī ke 34,000 kilogrām bhej kar kirāe par rath aur rathsawār mangwāe.
7 Yoṅ unheṅ 32,000 rath un ke sawāroṅ samet mil gae. Mākā kā bādshāh bhī apne dastoṅ ke sāth un se muttahid huā. Mīdabā ke qarīb unhoṅ ne apnī lashkargāh lagāī. Ammonī bhī apne shahroṅ se nikal kar jang ke lie jamā hue.
8 Jab Dāūd ko is kā ilm huā to us ne Yoāb ko pūrī fauj ke sāth un kā muqābalā karne ke lie bhej diyā.
9 Ammonī apne dārul-hukūmat Rabbā se nikal kar shahr ke darwāze ke sāmne hī saf-ārā hue jabki dūsre mamālik se āe hue bādshāh kuchh fāsile par khule maidān meṅ khaṛe ho gae.
10 Jab Yoāb ne jān liyā ki sāmne aur pīchhe donoṅ taraf se hamle kā ḳhatrā hai to us ne apnī fauj ko do hissoṅ meṅ taqsīm kar diyā. Sab se achchhe faujiyoṅ ke sāth wuh ḳhud Shām ke sipāhiyoṅ se laṛne ke lie taiyār huā.
11 Bāqī ādmiyoṅ ko us ne apne bhāī Abīshai ke hawāle kar diyā tāki wuh Ammoniyoṅ se laṛeṅ.
12 Ek dūsre se alag hone se pahle Yoāb ne Abīshai se kahā, “Agar Shām ke faujī mujh par ġhālib āne lageṅ to mere pās ā kar merī madad karnā. Lekin agar āp Ammoniyoṅ par qābū na pā sakeṅ to maiṅ ā kar āp kī madad karūṅga.
13 Hauslā rakheṅ! Ham dilerī se apnī qaum aur apne Ḳhudā ke shahroṅ ke lie laṛeṅ. Aur Rab wuh kuchh hone de jo us kī nazar meṅ ṭhīk hai.”
14 Yoāb ne apnī fauj ke sāth Shām ke faujiyoṅ par hamlā kiyā to wuh us ke sāmne se bhāgne lage.
15 Yih dekh kar Ammonī bhī us ke bhāī Abīshai se farār ho kar shahr meṅ dāḳhil hue. Tab Yoāb Yarūshalam wāpas chalā gayā.
Shām ke ḳhilāf Jang
16 Jab Shām ke faujiyoṅ ko shikast kī be'izzatī kā ehsās huā to unhoṅ ne Dariyā-e-Furāt ke pār Masoputāmiyā meṅ ābād Arāmiyoṅ ke pās qāsid bheje tāki wuh bhī laṛne meṅ madad kareṅ. Hadadazar kā kamānḍar Sofak un par muqarrar huā.
17 Jab Dāūd ko ḳhabar milī to us ne Isrāīl ke tamām laṛne ke qābil ādmiyoṅ ko jamā kiyā aur Dariyā-e-Yardan ko pār karke un ke muqābil saf-ārā huā. Jab wuh yoṅ un se laṛne ke lie taiyār huā to Arāmī us kā muqābalā karne lage.
18 Lekin unheṅ dubārā shikast mān kar farār honā paṛā. Is dafā un ke 7,000 rathbānoṅ ke alāwā 40,000 piyādā sipāhī halāk hue. Dāūd ne fauj ke kamānḍar Sofak ko bhī mār ḍālā.
19 Jo Arāmī pahle Hadadazar ke tābe the unhoṅ ne ab hār mān kar Isrāīliyoṅ se sulah kar lī aur un ke tābe ho gae. Us waqt se Arāmiyoṅ ne Ammoniyoṅ kī madad karne kī phir jurrat na kī.