7
Maqdis kī Maḳhsūsiyat ke Hadie
Jis din maqdis mukammal huā usī din Mūsā ne use maḳhsūs-o-muqaddas kiyā. Is ke lie us ne ḳhaime, us ke tamām sāmān, qurbāngāh aur us ke tamām sāmān par tel chhiṛkā. 2-3 Phir qabīloṅ ke bārah sardār maqdis ke lie hadiye le kar āe. Yih wuhī rāhnumā the jinhoṅ ne mardumshumārī ke waqt Mūsā kī madad kī thī. Unhoṅ ne chhat wālī chhih bail gāṛiyāṅ aur bārah bail ḳhaime ke sāmne Rab ko pesh kie, do do sardāroṅ kī taraf se ek bailgāṛī aur har ek sardār kī taraf se ek bail.
Rab ne Mūsā se kahā, “Yih tohfe qabūl karke mulāqāt ke ḳhaime ke kām ke lie istemāl kar. Unheṅ Lāwiyoṅ meṅ un kī ḳhidmat kī zarūrat ke mutābiq taqsīm karnā.” Chunāṅche Mūsā ne bail gāṛiyāṅ aur bail Lāwiyoṅ ko de die. Us ne do bail gāṛiyāṅ chār bailoṅ samet Jairsoniyoṅ ko aur chār bail gāṛiyāṅ āṭh bailoṅ samet Mirāriyoṅ ko dīṅ. Mirārī Hārūn Imām ke beṭe Itamar ke taht ḳhidmat karte the. Lekin Mūsā ne Qihātiyoṅ ko na bail gāṛiyāṅ aur na bail die. Wajah yih thī ki jo muqaddas chīzeṅ un ke sapurd thīṅ wuh un ko kandhoṅ par uṭhā kar le jānī thīṅ.
10 Bārah sardār qurbāngāh kī maḳhsūsiyat ke mauqe par bhī hadiye le āe. Unhoṅ ne apne hadiye qurbāngāh ke sāmne pesh kie. 11 Rab ne Mūsā se kahā, “Sardār bārah din ke daurān bārī bārī apne hadiye pesh kareṅ.” 12 Pahle din Yahūdāh ke sardār Nahson bin Ammīnadāb kī bārī thī. Us ke hadiye yih the: 13 chāṅdī kā thāl jis kā wazn ḍeṛh kilogrām thā aur chhiṛkāw kā chāṅdī kā kaṭorā jis kā wazn 800 grām thā. Donoṅ ġhallā kī nazar ke lie tel ke sāth milāe gae behtarīn maide se bhare hue the. 14 In ke alāwā Nahson ne yih chīzeṅ pesh kīṅ: sone kā pyālā jis kā wazn 110 grām thā aur jo baḳhūr se bharā huā thā, 15 ek jawān bail, ek menḍhā, bhasm hone wālī qurbānī ke lie bheṛ kā ek yaksālā bachchā, 16 gunāh kī qurbānī ke lie ek bakrā 17 aur salāmatī kī qurbānī ke lie do bail, pāṅch menḍhe, pāṅch bakre aur bheṛ ke pāṅch yaksālā bachche.
18-23 Agle gyārah din bāqī sardār bhī yihī hadiye maqdis ke pās le āe. Dūsre din Ishkār ke sardār Nataniyel bin Zuġhar kī bārī thī, 24-29 tīsre din Zabūlūn ke sardār Iliyāb bin Helon kī, 30-47 chauthe din Rūbin ke sardār Ilīsūr bin Shadiyūr kī, pāṅchweṅ din Shamāūn ke sardār Salūmiyel bin Sūrīshaddī kī, chhaṭe din Jad ke sardār Iliyāsaf bin Daūel kī, 48-53 sātweṅ din Ifrāīm ke sardār Ilīsamā bin Ammīhūd kī, 54-71 āṭhweṅ din Manassī ke sardār Jamliyel bin Fadāhsūr kī, naweṅ din Binyamīn ke sardār Abidān bin Jidāūnī kī, dasweṅ din Dān ke sardār Aḳhiyazar bin Ammīshaddī kī, 72-83 gyārhweṅ din Āshar ke sardār Fajiyel bin Akrān kī aur bārhweṅ din Naftālī ke sardār Aḳhīrā bin Enān kī bārī thī.
84 Isrāīl ke in sardāroṅ ne mil kar qurbāngāh kī maḳhsūsiyat ke lie chāṅdī ke 12 thāl, chhiṛkāw ke chāṅdī ke 12 kaṭore aur sone ke 12 pyāle pesh kie. 85 Har thāl kā wazn ḍeṛh kilogrām aur chhiṛkāw ke har kaṭore kā wazn 800 grām thā. In chīzoṅ kā kul wazn taqrīban 28 kilogrām thā. 86 Baḳhūr se bhare hue sone ke pyāloṅ kā kul wazn taqrīban ḍeṛh kilogrām thā (fī pyālā 110 grām). 87 Sardāroṅ ne mil kar bhasm hone wālī qurbānī ke lie 12 jawān bail, 12 menḍhe aur bheṛ ke 12 yaksālā bachche un kī ġhallā kī nazaroṅ samet pesh kie. Gunāh kī qurbānī ke lie unhoṅ ne 12 bakre pesh kie 88 aur salāmatī kī qurbānī ke lie 24 bail, 60 menḍhe, 60 bakre aur bheṛ ke 60 yaksālā bachche. In tamām jānwaroṅ ko qurbāngāh kī maḳhsūsiyat ke mauqe par chaṛhāyā gayā.
89 Jab Mūsā mulāqāt ke ḳhaime meṅ Rab ke sāth bāt karne ke lie dāḳhil hotā thā to wuh Rab kī āwāz ahd ke sandūq ke ḍhakne par se yānī do karūbī farishtoṅ ke darmiyān se suntā thā.