7
1 Fasīl kī takmīl par maiṅ ne darwāzoṅ ke kiwāṛ lagwāe. Phir Rab ke ghar ke darbān, gulūkār aur ḳhidmatguzār Lāwī muqarrar kie gae.
2 Maiṅ ne do ādmiyoṅ ko Yarūshalam ke hukmrān banāyā. Ek merā bhāī Hanānī aur dūsrā qile kā kamānḍar Hananiyāh thā. Hananiyāh ko maiṅ ne is lie chun liyā ki wuh wafādār thā aur aksar logoṅ kī nisbat Allāh kā zyādā ḳhauf māntā thā.
3 Maiṅ ne donoṅ se kahā, “Yarūshalam ke darwāze dopahar ke waqt jab dhūp kī shiddat hai khule na raheṅ, aur pahrā dete waqt bhī unheṅ band karke kunḍe lagāeṅ. Yarūshalam ke ādmiyoṅ ko pahrādārī ke lie muqarrar kareṅ jin meṅ se kuchh fasīl par aur kuchh apne gharoṅ ke sāmne hī pahrā deṅ.”
Jilāwatanī se Wāpas Āe Huoṅ kī Fahrist
4 Go Yarūshalam Shahr baṛā aur wasī thā, lekin us meṅ ābādī thoṛī thī. Ḍhāe gae makān ab tak dubārā tāmīr nahīṅ hue the.
5 Chunāṅche mere Ḳhudā ne mere dil ko shurafā, afsaroṅ aur awām ko ikaṭṭhā karne kī tahrīk dī tāki ḳhāndānoṅ kī rajisṭrī taiyār karūṅ. Is silsile meṅ mujhe ek kitāb mil gaī jis meṅ un logoṅ kī fahrist darj thī jo ham se pahle jilāwatanī se wāpas āe the. Us meṅ likhā thā,
6 “Zail meṅ Yahūdāh ke un logoṅ kī fahrist hai jo jilāwatanī se wāpas āe. Bābal kā bādshāh Nabūkadnazzar unheṅ qaid karke Bābal le gayā thā, lekin ab wuh Yarūshalam aur Yahūdāh ke un shahroṅ meṅ phir jā base jahāṅ pahle rahte the.
7 Un ke rāhnumā Zarubbābal, Yashua, Nahmiyāh, Azariyāh, Rāmiyāh, Nahmānī, Mardakī, Bilshān, Misfarat, Bigwī, Nahūm aur Bānā the.
Zail kī fahrist meṅ wāpas āe hue ḳhāndānoṅ ke mard bayān kie gae haiṅ.
8 Parūs kā ḳhāndān: 2,172,
9 Safatiyāh kā ḳhāndān: 372,
10 Araḳh kā ḳhāndān: 652,
11 Pakhat-moāb kā ḳhāndān yānī Yashua aur Yoāb kī aulād: 2,818,
12 Ailām kā ḳhāndān: 1,254,
13 Zattū kā ḳhāndān: 845,
14 Zakkī kā ḳhāndān: 760,
15 Binnūī kā ḳhāndān: 648,
16 Babī kā ḳhāndān: 628,
17 Azjād kā ḳhāndān: 2,322,
18 Adūniqām kā ḳhāndān: 667,
19 Bigwī kā ḳhāndān: 2,067,
20 Adīn kā ḳhāndān: 655,
21 Atīr kā ḳhāndān yānī Hizqiyāh kī aulād: 98,
22 Hāshūm kā ḳhāndān: 328,
23 Bazī kā ḳhāndān: 324,
24 Ḳhārif kā ḳhāndān: 112,
25 Jibaūn kā ḳhāndān: 95,
26 Bait-laham aur Natūfā ke bāshinde: 188,
27 Anatot ke bāshinde: 128,
28 Bait-azmāwat ke bāshinde: 42,
29 Qiriyat-yārīm, Kafīrā aur Bairot ke bāshinde: 743,
30 Rāmā aur Jibā ke bāshinde: 621,
31 Mikmās ke bāshinde: 122,
32 Baitel aur Aī ke bāshinde: 123,
33 Dūsre Nabū ke bāshinde: 52,
34 Dūsre Ailām ke bāshinde: 1,254,
35 Hārim ke bāshinde: 320,
36 Yarīhū ke bāshinde: 345,
37 Lūd, Hādīd aur Onūs ke bāshinde: 721,
38 Sanā'āh ke bāshinde: 3,930.
39 Zail ke imām jilāwatanī se wāpas āe.
Yadāyāh kā ḳhāndān jo Yashua kī nasl kā thā: 973,
40 Immer kā ḳhāndān: 1,052,
41 Fashhūr kā ḳhāndān: 1,247,
42 Hārim kā ḳhāndān: 1,017.
43 Zail ke Lāwī jilāwatanī se wāpas āe.
Yashua aur Qadmiyel kā ḳhāndān yānī Hūdāwiyāh kī aulād: 74,
44 Gulūkār: Āsaf ke ḳhāndān ke 148 ādmī,
45 Rab ke ghar ke darbān: Sallūm, Atīr, Talmūn, Aqqūb, Ḳhatītā aur Sobī ke ḳhāndānoṅ ke 138 ādmī.
46 Rab ke ghar ke ḳhidmatgāroṅ ke darj-e-zail ḳhāndān jilāwatanī se wāpas āe.
Zīhā, Hasūfā, Tabbāot,
47 Qarūs, Siyā, Fadūn,
48 Libānā, Hajābā, Shalmī,
49 Hanān, Jiddel, Jahar,
50 Riyāyāh, Razīn, Naqūdā,
51 Jazzām, Uzzā, Fāsih,
52 Basī, Maūnīm, Nafūsīm,
53 Baqbūq, Haqūfā, Harhūr,
54 Bazlūt, Mahīdā, Harshā,
55 Barqūs, Sīsarā, Tāmah,
56 Naziyāh aur Ḳhatīfā.
57 Sulemān ke ḳhādimoṅ ke darj-e-zail ḳhāndān jilāwatanī se wāpas āe.
Sūtī, Sūfirat, Farūdā,
58 Yālā, Darqūn, Jiddel,
59 Safatiyāh, Ḳhattīl, Fūkirat-zabāym aur Amūn.
60 Rab ke ghar ke ḳhidmatgāroṅ aur Sulemān ke ḳhādimoṅ ke ḳhāndānoṅ meṅ se wāpas āe hue mardoṅ kī tādād 392 thī.
61-62 Wāpas āe hue ḳhāndānoṅ meṅ se Dilāyāh, Tūbiyāh aur Naqūdā ke 642 mard sābit na kar sake ki Isrāīl kī aulād haiṅ, go wuh Tal-milah, Tal-harshā, Karūb, Addūn aur Immer ke rahne wāle the.
63-64 Habāyāh, Haqqūz aur Barzillī ke ḳhāndānoṅ ke kuchh imām bhī wāpas āe, lekin unheṅ Rab ke ghar meṅ ḳhidmat karne kī ijāzat na milī. Kyoṅki go unhoṅ ne nasabnāme meṅ apne nām talāsh kie lekin un kā kahīṅ zikr na milā, is lie unheṅ nāpāk qarār diyā gayā. (Barzillī ke ḳhāndān ke bānī ne Barzillī Jiliyādī kī beṭī se shādī karke apne susar kā nām apnā liyā thā.)
65 Yahūdāh ke gawarnar ne hukm diyā ki in tīn ḳhāndānoṅ ke imām filhāl qurbāniyoṅ kā wuh hissā khāne meṅ sharīk na hoṅ jo imāmoṅ ke lie muqarrar hai. Jab dubārā imām-e-āzam muqarrar kiyā jāe to wuhī Ūrīm aur Tummīm nāmī qurā ḍāl kar muāmalā hal kare.
66 Kul 42,360 Isrāīlī apne watan lauṭ āe,
67 nīz un ke 7,337 ġhulām aur launḍiyāṅ aur 245 gulūkār jin meṅ mard-o-ḳhawātīn shāmil the.
68 Isrāīliyoṅ ke pās 736 ghoṛe, 245 ḳhachchar,
69 435 ūṅṭ aur 6,720 gadhe the.
70 Kuchh ḳhāndānī sarparastoṅ ne Rab ke ghar kī tāmīr-e-nau ke lie apnī ḳhushī se hadiye die. Gawarnar ne sone ke 1,000 sikke, 50 kaṭore aur imāmoṅ ke 530 libās die.
71 Kuchh ḳhāndānī sarparastoṅ ne ḳhazāne meṅ sone ke 20,000 sikke aur chāṅdī ke 1,200 kilogrām ḍāl die.
72 Bāqī logoṅ ne sone ke 20,000 sikke, chāṅdī ke 1,100 kilogrām aur imāmoṅ ke 67 libās atā kie.
73 Imām, Lāwī, Rab ke ghar ke darbān aur ḳhidmatgār, gulūkār aur awām ke kuchh log apnī apnī ābāī ābādiyoṅ meṅ dubārā jā base. Yoṅ tamām Isrāīlī dubārā apne apne shahroṅ meṅ rahne lage.”
Azrā Sharīat kī Tilāwat Kartā Hai
Sātweṅ mahīne yānī Aktūbar meṅ jab Isrāīlī apne apne shahroṅ meṅ dubārā ābād ho gae the