2
Nahmiyāh ko Yarūshalam Jāne kī Ijāzat Miltī Hai
1 Chār mahīne guzar gae. Nīsān ke mahīne ke ek din jab maiṅ Shahanshāh Artaḳhshastā ko mai pilā rahā thā to merī māyūsī use nazar āī. Pahle us ne mujhe kabhī udās nahīṅ dekhā thā,
2 is lie us ne pūchhā, “Āp itne ġhamgīn kyoṅ dikhāī de rahe haiṅ? Āp bīmār to nahīṅ lagte balki koī bāt āp ke dil ko tang kar rahī hai.”
Maiṅ saḳht ghabrā gayā
3 aur kahā, “Shahanshāh abad tak jītā rahe! Maiṅ kis tarah ḳhush ho saktā hūṅ? Jis shahr meṅ mere bāpdādā ko dafnāyā gayā hai wuh malbe kā ḍher hai, aur us ke darwāze rākh ho gae haiṅ.”
4 Shahanshāh ne pūchhā, “To phir maiṅ kis tarah āp kī madad karūṅ?” Ḳhāmoshī se āsmān ke Ḳhudā se duā karke
5 maiṅ ne shahanshāh se kahā, “Agar bāt āp ko manzūr ho aur āp apne ḳhādim se ḳhush hoṅ to phir barāh-e-karm mujhe Yahūdāh ke us shahr bhej dījie jis meṅ mere bāpdādā dafn hue haiṅ tāki maiṅ use dubārā tāmīr karūṅ.”
6 Us waqt malikā bhī sāth baiṭhī thī. Shahanshāh ne sawāl kiyā, “Safr ke lie kitnā waqt darkār hai? Āp kab tak wāpas ā sakte haiṅ?” Maiṅ ne use batāyā ki maiṅ kab tak wāpas āūṅgā to wuh muttafiq huā.
7 Phir maiṅ ne guzārish kī, “Agar bāt āp ko manzūr ho to mujhe Dariyā-e-Furāt ke maġhribī ilāqe ke gawarnaroṅ ke lie ḳhat dījie tāki wuh mujhe apne ilāqoṅ meṅ se guzarne deṅ aur maiṅ salāmatī se Yahūdāh tak pahuṅch sakūṅ.
8 Is ke alāwā shāhī janglāt ke nigarān Āsaf ke lie ḳhat likhwāeṅ tāki wuh mujhe lakaṛī de. Jab maiṅ Rab ke ghar ke sāth wāle qile ke darwāze, fasīl aur apnā ghar banāūṅgā to mujhe shahtīroṅ kī zarūrat hogī.” Allāh kā shafīq hāth mujh par thā, is lie shahanshāh ne mujhe yih ḳhat de die.
9 Shahanshāh ne faujī afsar aur ghuṛsawār bhī mere sāth bheje. Yoṅ rawānā ho kar maiṅ Dariyā-e-Furāt ke maġhribī ilāqe ke gawarnaroṅ ke pās pahuṅchā aur unheṅ shahanshāh ke ḳhat die.
10 Jab Gawarnar Sanballat Haurūnī aur Ammonī afsar Tūbiyāh ko mālūm huā ki koī Isrāīliyoṅ kī bahbūdī ke lie ā gayā hai to wuh nihāyat nāḳhush hue.
Nahmiyāh Fasīl kā Muāynā Kartā Hai
11 Safr karte karte maiṅ Yarūshalam pahuṅch gayā. Tīn din ke bād
12 maiṅ rāt ke waqt shahr se niklā. Mere sāth chand ek ādmī the, aur hamāre pās sirf wuhī jānwar thā jis par maiṅ sawār thā. Ab tak maiṅ ne kisī ko bhī us bojh ke bāre meṅ nahīṅ batāyā thā jo mere Ḳhudā ne mere dil par Yarūshalam ke lie ḍāl diyā thā.
13 Chunāṅche maiṅ andhere meṅ Wādī ke Darwāze se shahr se niklā aur junūb kī taraf Azhdahe ke Chashme se ho kar Kachre ke Darwāze tak pahuṅchā. Har jagah maiṅ ne girī huī fasīl aur bhasm hue darwāzoṅ kā muāynā kiyā.
14 Phir maiṅ shimāl yānī Chashme ke Darwāze aur Shāhī Tālāb kī taraf baṛhā, lekin malbe kī kasrat kī wajah se mere jānwar ko guzarne kā rāstā na milā,
15 is lie maiṅ Wādī-e-Qidron meṅ se guzarā. Ab tak andherā hī andherā thā. Wahāṅ bhī maiṅ fasīl kā muāynā kartā gayā. Phir maiṅ muṛā aur Wādī ke Darwāze meṅ se dubārā shahr meṅ dāḳhil huā.
Fasīl ko Tāmīr Karne kā Faislā
16 Yarūshalam ke afsaroṅ ko mālūm nahīṅ thā ki maiṅ kahāṅ gayā aur kyā kar rahā thā. Ab tak maiṅ ne na unheṅ aur na imāmoṅ yā dīgar un logoṅ ko apne mansūbe se āgāh kiyā thā jinheṅ tāmīr kā yih kām karnā thā.
17 Lekin ab maiṅ un se muḳhātib huā, “Āp ko ḳhud hamārī musībat nazar ātī hai. Yarūshalam malbe kā ḍher ban gayā hai, aur us ke darwāze rākh ho gae haiṅ. Āeṅ, ham fasīl ko nae sire se tāmīr kareṅ tāki ham dūsroṅ ke mazāq kā nishānā na bane raheṅ.”
18 Maiṅ ne unheṅ batāyā ki Allāh kā shafīq hāth kis tarah mujh par rahā thā aur ki shahanshāh ne mujh se kis qism kā wādā kiyā thā. Yih sun kar unhoṅ ne jawāb diyā, “Ṭhīk hai, āeṅ ham tāmīr kā kām shurū kareṅ!” Chunāṅche wuh is achchhe kām meṅ lag gae.
19 Jab Sanballat Haurūnī, Ammonī afsar Tūbiyāh aur Jasham Arabī ko is kī ḳhabar milī to unhoṅ ne hamārā mazāq uṛā kar hiqāratāmez lahje meṅ kahā, “Yih tum log kyā kar rahe ho? Kyā tum shahanshāh se ġhaddārī karnā chāhte ho?”
20 Maiṅ ne jawāb diyā, “Āsmān kā Ḳhudā hameṅ kāmyābī atā karegā. Ham jo us ke ḳhādim haiṅ tāmīr kā kām shurū kareṅge. Jahāṅ tak Yarūshalam kā tālluq hai, na āj aur na māzī meṅ āp kā kabhī koī hissā yā haq thā.”