4
Bīj Bone Wāle kī Tamsīl
1 Phir Īsā dubārā jhīl ke kināre tālīm dene lagā. Aur itnī baṛī bhīṛ us ke pās jamā huī ki wuh jhīl meṅ khaṛī ek kashtī meṅ baiṭh gayā. Bāqī log jhīl ke kināre par khaṛe rahe.
2 Us ne unheṅ bahut-sī bāteṅ tamsīloṅ meṅ sikhāīṅ. Un meṅ se ek yih thī:
3 “Suno! Ek kisān bīj bone ke lie niklā.
4 Jab bīj idhar-udhar bikhar gayā to kuchh dāne rāste par gire aur parindoṅ ne ā kar unheṅ chug liyā.
5 Kuchh pathrīlī zamīn par gire jahāṅ miṭṭī kī kamī thī. Wuh jald ug āe kyoṅki miṭṭī gahrī nahīṅ thī.
6 Lekin jab sūraj niklā to paude jhulas gae aur chūṅki wuh jaṛ na pakaṛ sake is lie sūkh gae.
7 Kuchh dāne ḳhudrau kāṅṭedār paudoṅ ke darmiyān bhī gire. Wahāṅ wuh ugne to lage, lekin ḳhudrau paudoṅ ne sāth sāth baṛh kar unheṅ phalne-phūlne kī jagah na dī. Chunāṅche wuh bhī ḳhatm ho gae aur phal na lā sake.
8 Lekin aise dāne bhī the jo zarḳhez zamīn meṅ gire. Wahāṅ wuh phūṭ nikle aur baṛhte baṛhte tīs gunā, sāṭh gunā balki sau gunā tak phal lāe.”
9 Phir us ne kahā, “Jo sun saktā hai wuh sun le!”
Tamsīloṅ kā Maqsad
10 Jab wuh akelā thā to jo log us ke irdgird jamā the unhoṅ ne bārah shāgirdoṅ samet us se pūchhā ki is tamsīl kā kyā matlab hai?
11 Us ne jawāb diyā, “Tum ko to Allāh kī bādshāhī kā bhed samajhne kī liyāqat dī gaī hai. Lekin maiṅ is dāyre se bāhar ke logoṅ ko har bāt samjhāne ke lie tamsīleṅ istemāl kartā hūṅ
12 tāki pāk kalām pūrā ho jāe ki
‘Wuh apnī āṅkhoṅ se dekheṅge magar kuchh nahīṅ jāneṅge,
wuh apne kānoṅ se suneṅge magar kuchh nahīṅ samjheṅge,
aisā na ho ki wuh merī taraf rujū kareṅ
aur unheṅ muāf kar diyā jāe.’ ”
Bīj Bone Wāle kī Tamsīl kā Matlab
13 Phir Īsā ne un se kahā, “Kyā tum yih tamsīl nahīṅ samajhte? To phir bāqī tamām tamsīleṅ kis tarah samajh pāoge?
14 Bīj bone wālā Allāh kā kalām bo detā hai.
15 Rāste par girne wāle dāne wuh log haiṅ jo kalām ko sunte to haiṅ, lekin phir Iblīs fauran ā kar wuh kalām chhīn letā hai jo un meṅ boyā gayā hai.
16 Pathrīlī zamīn par girne wāle dāne wuh log haiṅ jo kalām sunte hī use ḳhushī se qabūl to kar lete haiṅ,
17 lekin wuh jaṛ nahīṅ pakaṛte aur is lie zyādā der tak qāym nahīṅ rahte. Jyoṅ hī wuh kalām par īmān lāne ke bāis kisī musībat yā īzārasānī se dochār ho jāeṅ, to wuh bargashtā ho jāte haiṅ.
18 Ḳhudrau kāṅṭedār paudoṅ ke darmiyān gire hue dāne wuh log haiṅ jo kalām sunte to haiṅ,
19 lekin phir rozmarrā kī pareshāniyāṅ, daulat kā fareb aur dīgar chīzoṅ kā lālach kalām ko phalne-phūlne nahīṅ dete. Natīje meṅ wuh phal lāne tak nahīṅ pahuṅchtā.
20 Is ke muqābale meṅ zarḳhez zamīn meṅ gire hue dāne wuh log haiṅ jo kalām sun kar use qabūl karte aur baṛhte baṛhte tīs gunā, sāṭh gunā balki sau gunā tak phal lāte haiṅ.”
Koī Charāġh ko Bartan ke nīche Nahīṅ Chhupātā
21 Īsā ne bāt jārī rakhī aur kahā, “Kyā charāġh ko is lie jalā kar lāyā jātā hai ki wuh kisī bartan yā chārpāī ke nīche rakhā jāe? Hargiz nahīṅ! Use shamādān par rakhā jātā hai.
22 Kyoṅki jo kuchh bhī is waqt poshīdā hai use āḳhirkār zāhir ho jānā hai aur tamām bhedoṅ ko ek din khul jānā hai.
23 Agar koī sun sake to sun le.”
24 Us ne un se yih bhī kahā, “Is par dhyān do ki tum kyā sunte ho. Jis hisāb se tum dūsroṅ ko dete ho usī hisāb se tum ko bhī diyā jāegā balki tum ko us se baṛh kar milegā.
25 Kyoṅki jise kuchh hāsil huā hai use aur bhī diyā jāegā, jabki jise kuchh hāsil nahīṅ huā us se wuh thoṛā-bahut bhī chhīn liyā jāegā jo use hāsil hai.”
Ḳhud Baḳhud Ugne Wāle Bīj kī Tamsīl
26 Phir Īsā ne kahā, “Allāh kī bādshāhī yoṅ samajh lo: Ek kisān zamīn meṅ bīj bikher detā hai.
27 Yih bīj phūṭ kar din rāt ugtā rahtā hai, ḳhāh kisān so rahā yā jāg rahā ho. Use mālūm nahīṅ ki yih kyoṅkar hotā hai.
28 Zamīn ḳhud baḳhud anāj kī fasal paidā kartī hai. Pahle patte nikalte haiṅ, phir bāleṅ nazar āne lagtī haiṅ aur āḳhir meṅ dāne paidā ho jāte haiṅ.
29 Aur jyoṅ hī anāj kī fasal pak jātī hai kisān ā kar darāntī se use kāṭ letā hai, kyoṅki fasal kī kaṭāī kā waqt ā chukā hotā hai.”
Rāī ke Dāne kī Tamsīl
30 Phir Īsā ne kahā, “Ham Allāh kī bādshāhī kā muwāzanā kis chīz se kareṅ? Yā ham kaun-sī tamsīl se ise bayān kareṅ?
31 Wuh rāī ke dāne kī mānind hai jo zamīn meṅ ḍālā gayā ho. Rāī bījoṅ meṅ sab se chhoṭā dānā hai
32 lekin baṛhte baṛhte sabziyoṅ meṅ sab se baṛā ho jātā hai. Us kī shāḳheṅ itnī lambī ho jātī haiṅ ki parinde us ke sāye meṅ apne ghoṅsle banā sakte haiṅ.”
33 Īsā isī qism kī bahut-sī tamsīloṅ kī madad se unheṅ kalām yoṅ sunātā thā ki wuh ise samajh sakte the.
34 Hāṅ, awām ko wuh sirf tamsīloṅ ke zariye sikhātā thā. Lekin jab wuh apne shāgirdoṅ ke sāth akelā hotā to wuh har bāt kī tashrīh kartā thā.
Īsā Āṅdhī ko Thamā Detā Hai
35 Us din jab shām huī to Īsā ne apne shāgirdoṅ se kahā, “Āo, ham jhīl ke pār chaleṅ.”
36 Chunāṅche wuh bhīṛ ko ruḳhsat karke use le kar chal paṛe. Bāz aur kashtiyāṅ bhī sāth gaīṅ.
37 Achānak saḳht āṅdhī āī. Lahreṅ kashtī se ṭakrā kar use pānī se bharne lagīṅ,
38 lekin Īsā abhī tak kashtī ke pichhle hisse meṅ apnā sar gaddī par rakhe so rahā thā. Shāgirdoṅ ne use jagā kar kahā, “Ustād, kyā āp ko parwā nahīṅ ki ham tabāh ho rahe haiṅ?”
39 Wuh jāg uṭhā, āṅdhī ko ḍānṭā aur jhīl se kahā, “Ḳhāmosh! Chup kar!” Is par āṅdhī tham gaī aur lahreṅ bilkul sākit ho gaīṅ.
40 Phir Īsā ne shāgirdoṅ se pūchhā, “Tum kyoṅ ghabrāte ho? Kyā tum abhī tak īmān nahīṅ rakhte?”
41 Un par saḳht ḳhauf tārī ho gayā aur wuh ek dūsre se kahne lage, “Āḳhir yih kaun hai? Hawā aur jhīl bhī us kā hukm māntī haiṅ.”