27
Jānwaroṅ ko Chaṛhāne kī Qurbāngāh
1 Kīkar kī lakaṛī kī qurbāngāh banānā. Us kī ūṅchāī sāṛhe chār fuṭ ho jabki us kī lambāī aur chauṛāī sāṛhe sāt sāt fuṭ ho.
2 Us ke ūpar chāroṅ konoṅ meṅ se ek ek sīṅg nikle. Sīṅg aur qurbāngāh ek hī ṭukṛe ke hoṅ. Sab par pītal chaṛhānā.
3 Us kā tamām sāz-o-sāmān aur bartan bhī pītal ke hoṅ yānī rākh ko uṭhā kar le jāne kī bālṭiyāṅ, belche, kāṅṭe, jalte hue koele ke lie bartan aur chhiṛkāw ke kaṭore.
4 Qurbāngāh ko uṭhāne ke lie pītal kā janglā banānā jo ūpar se khulā ho. Jangle ke chāroṅ konoṅ par kaṛe lagāe jāeṅ.
5 Qurbāngāh kī ādhī ūṅchāī par kinārā lagānā, aur qurbāngāh ko jangle meṅ is kināre tak rakhā jāe.
6 Use uṭhāne ke lie kīkar kī do lakaṛiyāṅ banānā jin par pītal chaṛhānā hai.
7 Un ko qurbāngāh ke donoṅ taraf ke kaṛoṅ meṅ ḍāl denā.
8 Pūrī qurbāngāh lakaṛī kī ho, lekin andar se khokhlī ho. Use ain us namūne ke mutābiq banānā jo maiṅ tujhe pahāṛ par dikhātā hūṅ.
Ḳhaime kā Sahan
9 Muqaddas ḳhaime ke lie sahan banānā. Us kī chārdīwārī bārīk katān ke kapṛe se banāī jāe. Chārdīwārī kī lambāī junūb kī taraf 150 fuṭ ho.
10 Kapṛe ko chāṅdī kī hukoṅ aur paṭṭiyoṅ se lakaṛī ke 20 khamboṅ ke sāth lagāyā jāe. Har khambā pītal ke pāe par khaṛā ho.
11 Chārdīwārī shimāl kī taraf bhī isī kī mānind ho.
12 Ḳhaime ke pīchhe maġhrib kī taraf chārdīwārī kī chauṛāī 75 fuṭ ho aur kapṛā lakaṛī ke 10 khamboṅ ke sāth lagāyā jāe. Yih khambe bhī pītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ.
13 Sāmne, mashriq kī taraf jahāṅ se sūraj tulū hotā hai chārdīwārī kī chauṛāī bhī 75 fuṭ ho.
14-15 Yahāṅ chārdīwārī kā darwāzā ho. Kapṛā darwāze ke dāīṅ taraf sāṛhe 22 fuṭ chauṛā ho aur us ke bāīṅ taraf bhī utnā hī chauṛā. Use donoṅ taraf tīn tīn lakaṛī ke khamboṅ ke sāth lagāyā jāe jo pītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ.
16 Darwāze kā pardā 30 fuṭ chauṛā banānā. Wuh nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge aur bārīk katān se banāyā jāe, aur us par kaṛhāī kā kām ho. Yih kapṛā lakaṛī ke chār khamboṅ ke sāth lagāyā jāe. Wuh bhī pītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ.
17 Tamām khambe pītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ aur kapṛā chāṅdī kī hukoṅ aur paṭṭiyoṅ se har khambe ke sāth lagāyā jāe.
18 Chārdīwārī kī lambāī 150 fuṭ, chauṛāī 75 fuṭ aur ūṅchāī sāṛhe 7 fuṭ ho. Khamboṅ ke tamām pāe pītal ke hoṅ.
19 Jo bhī sāz-o-sāmān muqaddas ḳhaime meṅ istemāl kiyā jātā hai wuh sab pītal kā ho. Ḳhaime aur chārdīwārī kī meḳheṅ bhī pītal kī hoṅ.
Shamādān kā Tel
20 Isrāīliyoṅ ko hukm denā ki wuh tere pās kūṭe hue zaitūnoṅ kā ḳhālis tel lāeṅ tāki Muqaddas Kamre ke shamādān ke charāġh mutawātir jalte raheṅ.
21 Hārūn aur us ke beṭe shamādān ko mulāqāt ke ḳhaime ke Muqaddas Kamre meṅ rakheṅ, us parde ke sāmne jis ke pīchhe ahd kā sandūq hai. Us meṅ wuh tel ḍālte raheṅ tāki wuh Rab ke sāmne shām se le kar subah tak jaltā rahe. Isrāīliyoṅ kā yih usūl abad tak qāym rahe.